Wednesday, September 30, 2009

kuch kadam awaragi

kya bataye kyo kabhi kab kaha kis daur m
chal pade kuch kadam awaragi they woh kuch gumnam jo
dekh ke ye bekhudi her dil sung ajab ka dung woh
kar gujarate hado se jo fir bi ji paye na khud ko kyo
bana dete hai makam koi khud ki fitrat ka na ilam koi
lutaate hai khud ko masak yo taraste oh bi honge kuch pyar ko
chalate kadam na thakate jinke aaj woh pathar se bejan kyo
chal nikal chal awaragi pe fir kyo jaha koi serhad na ho
na ho ye jhute saath sung na koi bedard dardo gum
insaniyat ki aab ho jaha bando m hi khuda ki pehchan ho
jaat na mulk na majhab koi na jannat na dojhak ka bharam koi
pyar ki boli samjhe sabhi nafarto ka daur na chhu paye kabhi
kya mera kya tera karna mil baat ke sab ji le jaha
ishi jaha ka aagaz mei nikale honge her daur m kuch kadam awaragi

No comments:

Post a Comment